Na main pas usko bula ska
Na main Dil ki baat bta ska
Wo hansi hansi mein he chal dia
K main hath tak na mila ska
Yun he sochta raha door tak
Magr usko kuch na bta ska
Ye maqam he tha ajeeb sa
K main khud ko b na bcha ska
Wo juda hua to kuch is tarah
Koi rasam tak na nibha ska
Usay jana tha wo chala gya
Magar Main Usay aaj tak na bhula ska